Teer _ e nazar teri
mere nishaan _e dil pe lag gayi;
Yeh kaise ajab si baat hui
Mein zinda hoke yun ut gayi;
——————————————————-
Cheerkar dil ke paar woh
aise jo nikal gayi
miti dard ehaas hui_ aur
tujhe, mein dekh kar dang reh gayi;
——————————————————–
Mujhe tumse pyaar hai _

yeh kehna toh naamumkin na tha _ par
patha nahi kyon lafz sare
hoton mein giraft ho ke reh gaye;
——————————————————–
Tum mere zindagi mein jab se
noor banke aa gaye
Har zamaane ke kushi bhi, tum bin
ab pheekeesi lagne lagi;
——————————————————–
“Na jaana chodke mujhe ab kabhi bhi”
Dil hi dil mein ab yeh dohrane lagi;
Hai re rabba ! use dil de baiti
yeh kaisi uljan mein , mei pad gayi;
———————————————————
Ankhen har waqt doondthi hain
Raat aur din, tere bin kathi nahi;
Jab se
Teer _ e nazar teri
mere nishaan _ e dil ko
cheerkar paar kar gayi….
—————————————————————
17.385044
78.486671
Share this:My Life perceptions
Like this:
Like Loading...